7 Investing Lessons of Rakesh Jhunjhunwala in Hindi
Kya aap maan paaoge agar me batau ki bharat ke Warren Buffet, Rakesh Jhunjunwala ki networth 20,000 crore rupay se bhi zyada hai? Aur wo saal ke 11 crore rupee ka brokerage pay karte hai. Ab is brokerage figure se aap itna to andaaza laga hi sakte hai ki unki trading value kitni zyada badi hogi!
Rakesh Jhunjunwala desh ke sab se bade investors me se ek hai, par kya aapko pata hai, Rakesh Jhunjunwala ke aise secrets jo unhe aaj is mukaam pe le ke aaye?
Is article me mein aapko Rakesh Jhunjhunwala ke aise 7 Investing secrets bataunga jo unhe desh ka sab se bada investor banate hain:
1. Sab se pehle unka maan na hai ki,
Esi companies dhundo jo dusro ko takkar deke aage badhi ho:
Jhunjhunwala ne stock market mein se aisi companies ko dhundha hai jinke success ko dohrana mushkil hai. Matlab vo companies jinko copy karna itna aasan nahi hai.
Jhunjhunwala ki sabse surprising investment Delta Corporation mein ek Casino ki thi. Jaan ke shock laga na? Vaha ke sabhi investors ko bhi ye jhatka laga ki Rakesh ne ek Casino mein invest kyu kiya?
Uska reason yeh tha ki Jhunjhunwala jante the ki India jaisi country mein nayi companies ke liye casino license pana kitna mushkil hai aur bahot kam companies hai jinko iska experience hai. Iss competition mein delta company ne bahott paisa kamaya aur iss liye jhunjhunwala ka stock pichle 10 saalo mein 6 guna badh gaya hai.
Agar baat karein unke sector-wise portfolio holding ki toh vo focus krte hain un sectors pe jo India ke middle-class ke consumption ka bahot bada part hai Jaise ki construction, pharma, and engineering.
Toh yaha main baat ye hai ki hum un companies ki talash kare jinke paas competitive edge ho. Kyuki companies ka competition jitna kam hoga utna unka benefit zyada hoga aur jitna company ko benefit zyada hoga toh investors ko bhi toh hoga. As simple as that!
2. Dusra aur sabse important lesson ye hai ki hamesha sahi hona zaruri nahi:
Ek successful investor hone ke liye aap ka hamesha sahi hona zaruri nahi. Nahi samajh aaya? It means ki yeh zaruri nhi hai ki aapka har investment right hi ho ya profitable hi ho. Agar ek-do investment galat ho bhi gaya toh nirash ho ke investment karna cchor na de.
Agar aap Jhunjhunwala ka investing career dekhe toh, unhone har aam aadmi ki tarah bahot galtiyan ki hai par vo kabhi nirash nahi hue. Unke sabse bade failures mein se DishTV, DHFL aur Madhana Venture Services hai, jiski vajah se unko karodo ka nuksaan hua par fir bhi doston, unhone kabhi haar nahi maani aur stock market mein invest karte rahe.
Because either you earn or you learn! Toh galat investment ya decision se kuch lessons sikhe or aage usko yaad rakhein.
3. Learn Before you Earn
Jhunjhunwala abhi India ke richest men ki list me hai par aisa nhi tha ki vo pehle se hi 1 rich family ko belong karte the. Jhunjhunwala ek middle class family se the aur jab 1982 mein vo mumbai aaye to unke paas sirf 5000 rs the. Bina kisi investing knowledge ke invest karna bahot bada risk hai isliye Jhunjhunwala ne pehle apna career ek trader yaani vyapari ke peshe se shuru kiya tha.
Rakesh Jhunjhunwala ne trading se short term profits kamaye hai aur unhi profits ko invest karke long term wealth banayi hai. Kehne ka matlab ye nahi ki aap bhi pehle trading kare. Mera matab ye hi ki bina pure gyaan ke, bina puri investment knowledge ke stock market mein invest na kare. Jitna aapka knowledge zyada hoga utna hi investment decision lena aasaan ho jaega.
Agle Lesson ki baat karein toh unka maan na hai ki
4. Go according to your gut feeling
Jhunjhunwala hamesha kehte hai ki apne mann ki suno magar dimaag ko sath leke chalo. Agar aapko lagta hai ki xyz mein invest karna hai aur agar aapka dimag kehta hai ki ye sahi investment hai toh, even if vo abhi top pe ya profit me nhi hain, toh go ahead and get that bread. Agar fail hue toh kuch sikhoge aur agar jeet gaye toh durso ko sikhaoge. Ek failure bhi aap ko agli jeet ke liye madad kar sakta hai.
5. Patience is the key to success
Vo kehte hai na, sabar ka phal meetha hota hai, Rakesh Jhunjhunwala ka bhi yahi maan na hai. Unka kehna hai ki business kharido, stocks nahi. Jab tak business ki neev sambhli hui hai, tab tak koi bhi share mat becho. 21 din mein paisa double, aisa bilkul nahi hoga.
Sirf ek baar invest karne se ameer nahi ban jaoge. AgarJhunjhunwala ki baat karein toh unhone March and June 2002 ke beech me Titan ke 6,64,250 shares khareede the, jab us share ki price 50 Rs. thi.
2010 me usi shares ki price kya ho gyi aap guess kr skte ho? 2010 me usi share ki price ho gyi ₹1610 per share. Calculate kar rhe ho kitne time badha? Ruko zara sabar kro. September, 2021 me isi share ki price ho gyi ₹2092.50 per share. Toh ye baat to clear hai ki aapko long term invested rehna padega return maximise krne ke liye.
6. Stock market = Passion
Doston, kehte hain na ki agar kisi cheez ko shiddat se chaho toh puri kayanat tumhe us se milane mein lag jati hai. Stock market ka bhi wo hi haal hai. Jab tak stock market ko apna passion, apna junoon nahi banaoge tab tak sab ek bahot bhari boj lagega. Stock market ko padho, samjho, uske baare mein updates rakho, usko apna passion banao aur fir dekho stock market aapse kaise pyaar nahi karta. Jhunjhunwala sir ka bhi yahi funda hai. Stock market ko apne ghar jaisa samjho aur usko bahot saara attention do. Passion with Patience rakho aur succeed hote rho.
Last but not the least,
7. Life is all about having fun and learning
Maine Rakesh Jhunjhunwala ke kayi saare interviews dekhe hai. Ek interview mein jab Ramesh Damani ne Rakesh Jhunjhunwala se apne life ke regrets ke baare mein pucha, toh jhunjhunwala ne kaha ki `Life is not about regrets, it’s about learning from every mistake we made.” Unhone aage kaha ki `mene apni galtiyon se bahot kuch sikha hai aur mujhe kisi bhi baat ka afsos nahi hai’. Matlab apni galti pe rone se better hai ki us galti se seekho aur vo lesson lifetime yaad rakho aur Sikhte rho.
Rakesh Jhunjhunwala is definitely someone to look up to. I hope ki aapko bhi is article se bahut kuch sikhne ko mila hai jisko implement kar ke aap acha return earn kar sako.