Vijay Mallya Scam – Complete Story in Hindi
Wo aadami jo kabhi “The king of good times” ke Naam se jana jaata tha, aaj ache dino ki talash me desh chhod ke chala gaya. ₹9000 crore ka scam karne ke baad Vijay Mallya desh ke lagbhag har bank aur judiciary ka main target ban chuka hai.
Ek time pe India ke top 50 richest logo me se ek aur ab ek bhagode se zada kuch nahi. Vijay Mallya was born in 1955. Unke father Vittal Mallya ek Indian entrepreneur the jo 23 saal ki umar me United Breweries Group (UB group) ke director ban gaye the. Apne pita ke sudden demise ke baad Vijay Mallya UB group ka chairman bana.
Wo hamesha se apne posh lifestyle ke liye jaana gaya. Jiska proof uski lavish parties thi jisme kayee jaane maane sportspersons, Bollywood stars aur models aaya karte the. India ka liquor tycoon hone ke saath hi uske paas apna khud ka yacht, private jet aur 250 rare cars ka collection tha.
Bhale hi Vijay Mallya ki reputation “The playboy of east” wali thi lekin uske achievements ek alag hi story bayan karte hai. 1983 me, 28 years ki age me UB group ka chairman banne ke baad usne is beverage company ko 60 se bhi zada multi-national industries me badal diya.
Usne saari companies ko ek umbrella group ke under lane ka decision liya jiska naam tha UB group. Iska main purpose tha loss incur kar rahi companies to band karna aur sara focus core business pe lagana jo ki tha alcoholic beverages. 1998-1999 tak UB group ka annual turnover 64% se increase hoke US$11 billion ho gaya jo ki 15 saalo me sabse zada tha. Unhone 50% se bhi zada market share acquire kar liya tha aur India me total beer manufacturing ka 60% hissa control kar rahe the.
Lekin sirf alcoholic beverages me company ki success se Vijay Mallya rukne wala nahi tha. 1988 me usne Berger paints, best aur Crompton jaisi companies ko acquire kiya, 1990 me Mangalore chemicals and fertilizers, aur 2001 me The Asian age newspaper aur bollywood magazine Cine Blitz ko bhi khareeda. Wo apni reach ko sports world tak bhi le gaya, 1996 me wo India ka first business tycoon bana jisne ek cricket team ko sponsor kiya world cup me. West Indies wo team thi jise Kingfisher ke through sponsor kiya gaya. Yahin se us famous jingle ka janam hua ” Oo la lala le o”
Yahaan tak ki Vijay Mallya ki companies ne kayee sports teams ki bhi ownership li jaise IPL team “Royal Challengers Bangalore”, I-league teams Mohun Bagan AC, East Bengal FC, aur formula 1 team force India.
Itni saari companies successfully chalane ke baad bhi Vijay Mallya ko sirf Kingfisher Airlines ke failure aur uske baad hue tamashe se yaad rakha jaata hai. Kingfisher Airlines se Vijay Mallya ka main vision tha ek world class Airlines introduce karna India me. Usne launch se pehle apni core team se ye kaha tha ki “Hum transportation business nahi hospitality business karne jaa rahe hain”
2005 me launch ke baad, Kingfisher Airlines five star air travel experience ban gaya logo ke liye. Ye possible hua newly appointed planes, pretty attendants ( jinhen Mallya personally appoint karta tha), acha khana aur in-flight entertainment ki wajah se.
Sabse important baat ye thi ki is domestic airline me first class bhi tha. Aur to aur, domestic airlines ko India me liquor serve karne ki permission nahi thi, lekin Kingfisher me first class passengers ko free liquor provide kiya jaata tha. Iski wajah se business travelers ke liye Kingfisher first choice hua karta tha.
Lekin Mallya sirf national boundaries me Kingfisher ko udane se santusht nahi tha. Usne airlines ko globally expand karne ki planning ki. Indian rules ke according, wo airlines jo kewal 5saal se existence me hain unhe overseas routes pe fly karne ki permission nahi hoti. Mallya ne existing airlines ko acquire karke is law ko bypass karne ka socha. Usne 2006 me Air Sahara pe bid kiya lekin Jet airways se haar gaya, baad me Air Deccan khareedne me successful hua. 2008 me Kingfisher ko finally International routes pe operate karne ki permission mili, aur pehli International flight Banglore se London ki thi. 2008 tak, Kingfisher Airlines 10.9 million passengers ko le jaa rahi thi, 77 aircrafts ke saath 412 domestic flights daily operate karte hue. 2009 me, Kingfisher Airlines Indian market ka leader ban chuka tha with a market share of 22.9%.
Itni success ke bavajud Kingfisher starting se hi loss incur kar raha tha. Shareholders apne first dividend ka wait karte reh gaye. Airplanes ke huge capital costs, continuously change hote fuel prices aur country wise regulations ne aviation industry ko survival ke liye sabse toughest industry bana diya tha. Kingfisher bhi 2008 ke recession ke baad in sab problems me ulajh kar reh gaya tha.
March 2008 me, Kingfisher ka debt ₹934 crore tha. Recession ke dauran crude oil ke prices $140 per barrel tak badh gaye the. Ye 2005-2010 ke comparison me lagbhag do guna increase tha. Indian airlines ko government ke through impose kiye gaye taxes aur levies ki wajah se kaafi bhaari nuksan hua. 2008 ke end tak, Kingfisher ka debt amount ₹665 crore se increase ho gaya tha. Aur 2010 ke baad airline market share capture karne me asafal rahi.
Saal 2011 me, airline ne pehli Baar cash flow issues declare kiye. Loss incurring business ko continue rakhne ke liye Mallya ne desperate hokar banks se lagatar loans liye. Bankers optimistic the kyunki Mallya khud airlines ki situation ko badalne ke liye hopeful tha, wo alag baat hai ki hi puri aviation industry andhere me doobi hui thi.
Kingfisher se jude debt ki amount ₹7000 crore thi, jo ki 17 alag alag banks se li gayi thi. Inme se zadatar bank public sector banks the. Bank of India ne office stationery, boarding pass printers, aur folding chairs ko collateral rakh ke Mallya ko ₹300 crore ka loan diya. Banks ka aise current assets pe loan provide karne ke decision ne Bankers ki credibility ko questionable banaya.
SBI ne Kingfisher ke trademarks aur goodwill ko collateral rakh ke ₹1600 crore ka loan diya tha. In trademarks ki value ₹4000 crore se zada thi 2009 me lekin baad me sirf ₹6 crore reh gayi. IOB ne bhi same issues face kiye, 2 helicopters jo collateral rakhe gaye the wo flying condition me nahi the aur unko bech ke ₹100 crore ka amount recover nahi kiya jaa sakta tha.
Banking industry me panic badhne laga specially state-run banks me, kyunki unhe apne shareholders ko jawaab dene the ki kyu Mallya ko 2010 me aur loan diya gaya and Kingfisher ke debt ko equity me change kiya gaya at a huge premium.
Finally 2012 me, SBI aur baki banks ne Kingfisher Airlines ko NPA declare kar diya. Kingfisher ke loans ka majority burden government banks par tha. In sabhi banks me se ICICI Bank sabse smart nikla, jisne mid 2012 me kolkata ki Srei Infrastructure Finance Ltd ko apna pura ₹430 crore ka loan exposure bechne me kamayab raha. Is puri kahani me sarkari bank asli bakra bane.
Kingfisher apne employees ko 15 months ki salary nahi de paya tha. Is wajah se saare pilots better opportunities ke liye Kingfisher chhod ke chale gaye. Finally, 2012 me grounding aur license cancellation se Kingfisher Airlines ki journey pe full stop laga.
Aisa mana jata hai ki Mallya ne in loans se apne personal agendas aage badhaye. In allegations ka dawa hai ki shell companies ki help se in loans ki overseas tax havens me laundering ki jaati thi, Mallya ne recieved loans ko shell companies me transfer kiya jahaan already dummy directors rakhe gaye the is kaam ke liye. Ye companies na to active thi na hi inka koi independent source of income tha. Yahaan rakhe gaye directors Mallya ke command par kaam karte the. Ye companies 7 countries me placed thi jaise ki UK, USA, Ireland and France.
Vijay Mallya ke case ko pehli Baar dekha jaaye to aisa lagta hai ki wo ek unlucky businessman tha lekin thoda closly dekhne par money laundering ki possibility nazar aati hai. Apne employees ko salary dene ke bajaye lavish birthday party through karna aur Enrique Iglesias jaise singer ko bulana is baat ko justify karta hai, jo ki tabhi prove ho sakti hai jab Mallya India wapas aayega.
Mallya se apne paise wapas nikalwane ke chances bohot kaam hai banks ke, kyunki Kingfisher ne hardly koi assest chhodi hai unke liye. Banks ke liye ab ek aakhiri ummid yahi hai ki agar Mallya khud unke paise wapas karde apne personal wealth se.( Mallya ke paas kayee companies me ₹7000 crore tak ke shares hai) . Kya banks aur Mallya ke final battle me aisa ho sakta hai ki banks ko unka paisa wapas mil jaaye? Chances kam hai.